KHushk dararon wala dariya
ḳhushk darāroñ vaalā dariyā
zer-e-zamīñ hai baalā dariyā
us ko baḌā raas aaya dariyā
maiñ aur des nikālā dariyā
lahroñ kī tahrīr kināre
ret pe likkhā qissa dariyā
aao ye afvāh uḌā.eñ
ham ne ḳhvāb meñ dekhā dariyā
tah meñ aksāñ naqsh-o-manāzir
uupar shahr ke bahtā dariyā
aaj bhī tere shahr haiñ pyāse
ab bhī duur hai ḳhema dariyā
pul par ġhota ḳhor pale haiñ
sikka bhārī halkā dariyā
duur charāġh kī lau par zinda
sarmā kā barfīlā dariyā
apnā saaya DhūñD rahā huuñ
shaam hai pal bhar tham jā dariyā
KHushk dararon wala dariya
zer-e-zamin hai baala dariya
us ko baDa ras aaya dariya
main aur des nikala dariya
lahron ki tahrir kinare
ret pe likkha qissa dariya
aao ye afwah uDaen
hum ne KHwab mein dekha dariya
tah mein aksan naqsh-o-manazir
upar shahr ke bahta dariya
aaj bhi tere shahr hain pyase
ab bhi dur hai KHema dariya
pul par ghota KHor pale hain
sikka bhaari halka dariya
dur charagh ki lau par zinda
sarma ka barfila dariya
apna saya DhunD raha hun
sham hai pal bhar tham ja dariya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.