KHushk dariya mein iztirab aae
ḳhushk dariyā meñ iztirāb aa.e
saare sāhil hī zer-e-āb aa.e
un ko samjhā gulāb sahrā meñ
merī rāhoñ meñ vo sarāb aa.e
un ke jaane se shor-e-tanhā.ī
un ke aane se inqalāb aa.e
bojh palkoñ pe rakh liyā un kā
jo ki ḳhvāboñ meñ be-hisāb aa.e
lafz-o-ma.anī kā toḌ de rishta
pesh phir bhī vahī kitāb aa.e
mere ġham se havā bhī ālūda
yaḳh-zada jaa.e sho.ala-tāb aa.e
saada paanī sharāb lagtā hai
jab kisī par 'zafar' shabāb aa.e
KHushk dariya mein iztirab aae
sare sahil hi zer-e-ab aae
un ko samjha gulab sahra mein
meri rahon mein wo sarab aae
un ke jaane se shor-e-tanhai
un ke aane se inqalab aae
bojh palkon pe rakh liya un ka
jo ki KHwabon mein be-hisab aae
lafz-o-mani ka toD de rishta
pesh phir bhi wahi kitab aae
mere gham se hawa bhi aaluda
yaKH-zada jae shoala-tab aae
sada pani sharab lagta hai
jab kisi par 'zafar' shabab aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.