KHushk dariyaon ko pani de KHuda
ḳhushk dariyāoñ ko paanī de ḳhudā
bādbānoñ ko ravānī de ḳhudā
be-samā.at kar de saare shahr ko
yā mujhe phir be-zabānī de ḳhudā
kab talak be-mo.jaza ho kar jiyūñ
koī to apnī nishānī de ḳhudā
chhūT jā.ūñ vus.atoñ kī qaid se
vahshatoñ ko lā-makānī de ḳhudā
saikaḌoñ ham-zād haiñ mere yahāñ
mujh ko lekin merā saanī de ḳhudā
KHushk dariyaon ko pani de KHuda
baadbanon ko rawani de KHuda
be-samaat kar de sare shahr ko
ya mujhe phir be-zabani de KHuda
kab talak be-mojaza ho kar jiyun
koi to apni nishani de KHuda
chhuT jaun wusaton ki qaid se
wahshaton ko la-makani de KHuda
saikaDon ham-zad hain mere yahan
mujh ko lekin mera sani de KHuda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.