KHushk patton ki tarah shaKHon se gir jate hain hum
KHushk patton ki tarah shaKHon se gir jate hain hum
Meer Naqi Ali Khan Saqib
MORE BYMeer Naqi Ali Khan Saqib
ḳhushk pattoñ kī tarah shāḳhoñ se gir jaate haiñ ham
vaqt kī gard-e-safar ban ke aḌe jaate haiñ ham
jaise sadiyoñ kī siyah-poshī muqaddar ban ga.ī
raushnī kā naam aate hī pighal jaate haiñ ham
is qadar raushan nahīñ thī aaj se pahle ġhazal
bhīgte lafzoñ ko sho.aloñ kī zabāñ dete haiñ ham
subah hotī hai to jaise ik haqīqat jaan kar
gum-shuda ḳhvāboñ kī ta.abīroñ ko apnāte haiñ ham
ye ghane lamhāt ye mauhūm āvāzoñ kā shor
DhūñD le ai sham-e-tanhā.ī ki kho jaate haiñ ham
jis tarah ik tifl-e-ḳhvābīda ho un āñkhoñ kī yaad
chauñk kar ḳhvāboñ se ik pal ko sambhal jaate haiñ ham
zindagī ko ahd-e-māzī kī rivāyat jaan kar
saf.ha-e-daurāñ se tahrīreñ miTā dete haiñ ham
KHushk patton ki tarah shaKHon se gir jate hain hum
waqt ki gard-e-safar ban ke aDe jate hain hum
jaise sadiyon ki siyah-poshi muqaddar ban gai
raushni ka nam aate hi pighal jate hain hum
is qadar raushan nahin thi aaj se pahle ghazal
bhigte lafzon ko shoalon ki zaban dete hain hum
subah hoti hai to jaise ek haqiqat jaan kar
gum-shuda KHwabon ki tabiron ko apnate hain hum
ye ghane lamhat ye mauhum aawazon ka shor
DhunD le ai sham-e-tanhai ki kho jate hain hum
jis tarah ek tifl-e-KHwabida ho un aankhon ki yaad
chaunk kar KHwabon se ek pal ko sambhal jate hain hum
zindagi ko ahd-e-mazi ki riwayat jaan kar
safha-e-dauran se tahriren miTa dete hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.