KHub mushkil hai par aasan liya jata hai
ḳhuub mushkil hai par āsān liyā jaatā hai
kitnā halke meñ ye insān liyā jaatā hai
nazreñ milte hī vo nazroñ ko jhukā lete haiñ
is ko iz.hār kā imkān liyā jaatā hai
ham to kahte haiñ mohabbat meñ maza hai hī nahīñ
aap kahte haiñ to phir maan liyā jaatā hai
ye havas hī hai hameñ jis ne nachā rakkhā hai
ishq to duur se pahchān liyā jaatā hai
aap ne bhuul ke ham ko jo sukūñ baḳhshā hai
aap kā āḳhirī ehsān liyā jaatā hai
KHub mushkil hai par aasan liya jata hai
kitna halke mein ye insan liya jata hai
nazren milte hi wo nazron ko jhuka lete hain
is ko izhaar ka imkan liya jata hai
hum to kahte hain mohabbat mein maza hai hi nahin
aap kahte hain to phir man liya jata hai
ye hawas hi hai hamein jis ne nacha rakkha hai
ishq to dur se pahchan liya jata hai
aap ne bhul ke hum ko jo sukun baKHsha hai
aap ka aaKHiri ehsan liya jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.