KHub roka shikayaton se mujhe
ḳhuub rokā shikāyatoñ se mujhe
tū ne maarā ināyatoñ se mujhe
vājib-ul-qatl us ne Thahrāyā
āyatoñ se rivāyatoñ se mujhe
kahte kyā kyā haiñ dekh to aġhyār
yaar terī himāyatoñ se mujhe
kyā ġhazab hai ki dost tū samjhe
dushmanoñ kī ri.āyatoñ se mujhe
dam-e-girya kamī na kar ai chashm
shauq kam hai kifāyatoñ se mujhe
kamī-e-giryā ne jalā maarā
huā nuqsāñ kifāyatoñ se mujhe
le ga.ī ishq kī hidāyat 'zauq'
un kane sab nihāyatoñ se mujhe
KHub roka shikayaton se mujhe
tu ne mara inayaton se mujhe
wajib-ul-qatl us ne Thahraya
aayaton se riwayaton se mujhe
kahte kya kya hain dekh to aghyar
yar teri himayaton se mujhe
kya ghazab hai ki dost tu samjhe
dushmanon ki riayaton se mujhe
dam-e-girya kami na kar ai chashm
shauq kam hai kifayaton se mujhe
kami-e-girya ne jala mara
hua nuqsan kifayaton se mujhe
le gai ishq ki hidayat 'zauq'
un kane sab nihayaton se mujhe
- Book : Ghazal Usne Chhedi(3) (Pg. 26)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Books (2017)
- Edition : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.