KHub-ru jo ek ka mahbub nain
ḳhūb-rū jo ek kā mahbūb na.iñ
aise harjā.ī se milnā ḳhuub na.iñ
cholī nīchī mat pahan ai jāma-zeb
is meñ chhab taḳhtī kā kuchh uslūb na.iñ
maiñ to tālib dil se hūñgā diin kā
daulat-e-duniyā mujhe matlūb na.iñ
sabr kab tak hijr meñ tere karūñ
maiñ tirā āshiq huuñ kui ayyūb na.iñ
yaar kī 'tābāñ' zanaḳhdāñ ko na chaah
dekh kahtā huuñ kueñ meñ Duub na.iñ
KHub-ru jo ek ka mahbub nain
aise harjai se milna KHub nain
choli nichi mat pahan ai jama-zeb
is mein chhab taKHti ka kuchh uslub nain
main to talib dil se hunga din ka
daulat-e-duniya mujhe matlub nain
sabr kab tak hijr mein tere karun
main tera aashiq hun kui ayyub nain
yar ki 'taban' zanaKHdan ko na chah
dekh kahta hun kuen mein Dub nain
- Deewan-e-Taban Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.