KHub-ru sab hain magar hura-shamail ek hai
ḳhūb-rū sab haiñ magar hūrā-shamā.il ek hai
aur mah-pāra haiñ lekin māh-e-kāmil ek hai
haq-ta.ālā us ke zulfoñ se bachā.e al-hazar
sāmnā hai do balāoñ kā mirā dil ek hai
kaun sā rāhat-rasāñ ma.ashūq hai āfāq meñ
dūsrā bhī āfat-e-jāñ hai jo qātil ek hai
maiñ taḌaptā huuñ to kahte haiñ asīrān-e-qafas
zaḳhm-ḳhurda ham giraftāroñ meñ bismil ek hai
jis kā jī chāhā chalā aayā baġhair az ittilā.a
aap kī sarkār meñ bāzār-o-mahfil ek hai
sham' chaltī hai to parvāne bhī jal jaate haiñ saath
vaah kyā in 'āshiq-o-mā'shūq kā dil ek hai
rind-o-zāhid donoñ pūchheñge barābar dekhnā
tafarqe un meñ dorāhe tak hai manzil ek hai
us kī zulfoñ kā tasavvur hai jo har dam dil-nashīñ
maiñ samajhtā huuñ ki do lailā haiñ mahmil ek hai
jo muārrif kāmiloñ ke thī agar hotī vo aaj
ham ko bhī kahte ye apnī fan meñ kāmil ek hai
'bahr' apnī bhī fasāhat jānte haiñ ahl-e-fahm
dūsre ham haiñ agar sahbān-o-i.l ek hai
KHub-ru sab hain magar hura-shamail ek hai
aur mah-para hain lekin mah-e-kaamil ek hai
haq-taala us ke zulfon se bachae al-hazar
samna hai do balaon ka mera dil ek hai
kaun sa rahat-rasan mashuq hai aafaq mein
dusra bhi aafat-e-jaan hai jo qatil ek hai
main taDapta hun to kahte hain asiran-e-qafas
zaKHm-KHurda hum giraftaron mein bismil ek hai
jis ka ji chaha chala aaya baghair az ittilaa
aap ki sarkar mein bazar-o-mahfil ek hai
sham' chalti hai to parwane bhi jal jate hain sath
wah kya in 'ashiq-o-ma'shuq ka dil ek hai
rind-o-zahid donon puchhenge barabar dekhna
tafarqe un mein dorahe tak hai manzil ek hai
us ki zulfon ka tasawwur hai jo har dam dil-nashin
main samajhta hun ki do laila hain mahmil ek hai
jo muarrif kaamilon ke thi agar hoti wo aaj
hum ko bhi kahte ye apni fan mein kaamil ek hai
'bahr' apni bhi fasahat jaante hain ahl-e-fahm
dusre hum hain agar sahban-o-il ek hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.