KHub tum tohfa-e-ashiqi de gae
ḳhuub tum tohfa-e-āshiqī de ga.e
āñkhoñ meñ umr-bhar kī namī de ga.e
dhuup meñ de ke saaya ye būḌhe shajar
kitne peḌoñ ko shāḳheñ harī de ga.e
hādse zindagī meñ kuchh aise hue
dushmanoñ se jo vābastagī de ga.e
un ke jalvoñ kī hai baat hī kuchh alag
ishq ko mere shā.istagī de ga.e
aañkh adab zulf tahzīb aariz suḳhan
aur tire lab mujhe shā.irī de ga.e
KHub tum tohfa-e-ashiqi de gae
aankhon mein umr-bhar ki nami de gae
dhup mein de ke saya ye buDhe shajar
kitne peDon ko shaKHen hari de gae
hadse zindagi mein kuchh aise hue
dushmanon se jo wabastagi de gae
un ke jalwon ki hai baat hi kuchh alag
ishq ko mere shaistagi de gae
aankh adab zulf tahzib aariz suKHan
aur tere lab mujhe shairi de gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.