Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHubi-e-tarz-e-maqalat se kya hota hai

Akhtar Saeed

KHubi-e-tarz-e-maqalat se kya hota hai

Akhtar Saeed

MORE BYAkhtar Saeed

    ḳhūbī-e-tarz-e-maqālāt se kyā hotā hai

    baat karte rahe ham baat se kyā hotā hai

    raat kaT jaa.e to phir raat chalī aa.egī

    raat kaT jā.egī ik raat se kyā hotā hai

    kisī jānib se javāb aa.e to kuchh baat chale

    kāvish-e-husn-e-savālāt se kyā hotā hai

    jab ki taqtīr-e-rag-e-jāñ se bañdhī hai taqdīr

    be-ḳhabar zikr-o-munājāt se kyā hotā hai

    daan diije ki mire ġham mudāvā hove

    rañj hotā hai hisābāt se kyā hotā hai

    dil vus.at se hai āsānī-e-anfās vale

    vus.at-e-sahn-e-mahallāt se kyā hotā hai

    sāmne aao kisī roz to kuchh baat kareñ

    umr-bhar hall-e-muammāt se kyā hotā hai

    zaat maz.har-e-me.ār-e-haq-o-bātil hai

    vo ġhalat kahte haiñ ki zaat se kyā hotā hai

    jaañ nikal jā.egī to faisla deñge che ḳhuub

    sāhibo aisī mukāfāt se kyā hotā hai

    KHubi-e-tarz-e-maqalat se kya hota hai

    baat karte rahe hum baat se kya hota hai

    raat kaT jae to phir raat chali aaegi

    raat kaT jaegi ek raat se kya hota hai

    kisi jaanib se jawab aae to kuchh baat chale

    kawish-e-husn-e-sawalat se kya hota hai

    jab ki taqtir-e-rag-e-jaan se bandhi hai taqdir

    be-KHabar zikr-o-munajat se kya hota hai

    dan dije ki mere gham ka mudawa howe

    ranj hota hai hisabaat se kya hota hai

    dil ki wusat se hai aasani-e-anfas wale

    wusat-e-sahn-e-mahallat se kya hota hai

    samne aao kisi roz to kuchh baat karen

    umr-bhar hall-e-muammat se kya hota hai

    zat hi mazhar-e-mear-e-haq-o-baatil hai

    wo ghalat kahte hain ki zat se kya hota hai

    jaan nikal jaegi to faisla denge che KHub

    sahibo aisi mukafat se kya hota hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now