KHubi ka teri bas-ki ek aalam gawah hai
ḳhūbī kā terī bas-ki ik aalam gavāh hai
apnī baġhair dekhe hī hālat tabāh hai
aalam sunā jo naaz kā hai us se al-amāñ
andāz-e-guftugū se ḳhudā kī panāh hai
tevrī ke Dhab haiñ aur nigah ke hazār Dol
chitvan ke laakh rañg ġharaz vaah vaah hai
nāḳhun ye dil hilāl hai abrū ke rashk se
mukhḌe kā daaġh rakhtā kaleje pe maah hai
ḳhūñ-rez terī chashm ko batlāte haiñ vale
chitvan meñ saath kahte haiñ phir uzr-ḳhvāh hai
ḳhūbī kā tere bāloñ kī mazkūr hai jahāñ
sumbul kā naam is jagah ik rū-siyāh hai
detā hai terī qāmat-e-dil-jū kā jo patā
be-sāḳhta vo khīñchtā ik dil se aah hai
go 'lutf'-e-ḳhufta-baḳht ke aao na ḳhvāb meñ
lekin tire ḳhayāl ko nit dil meñ raah hai
KHubi ka teri bas-ki ek aalam gawah hai
apni baghair dekhe hi haalat tabah hai
aalam suna jo naz ka hai us se al-aman
andaz-e-guftugu se KHuda ki panah hai
tewri ke Dhab hain aur nigah ke hazar Dol
chitwan ke lakh rang gharaz wah wah hai
naKHun ye dil hilal hai abru ke rashk se
mukhDe ka dagh rakhta kaleje pe mah hai
KHun-rez teri chashm ko batlate hain wale
chitwan mein sath kahte hain phir uzr-KHwah hai
KHubi ka tere baalon ki mazkur hai jahan
sumbul ka nam is jagah ek ru-siyah hai
deta hai teri qamat-e-dil-ju ka jo pata
be-saKHta wo khinchta ek dil se aah hai
go 'lutf'-e-KHufta-baKHt ke aao na KHwab mein
lekin tere KHayal ko nit dil mein rah hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.