KHun-chakan aaj mere dil ki sada hai to sahi
ḳhūñ-chakāñ aaj mire dil kī sadā hai to sahī
terī bedād taġhāful kā gila hai to sahī
tamtamāne lage phir lāla-o-gul ke ruḳhsār
koī sho'la tah-e-dāmān-e-sabā hai to sahī
ḳhud-baḳhud koī mirī samt khiñchā aatā hai
husn bhī mo'taqid-e-jazb-e-vafā hai to sahī
justujū-e-haram-o-dair karūñ kyoñ ai dost
bahr-e-sajda tirā naqsh-e-kaf-e-pā hai to sahī
karam-e-yār se māyūs na ho ai 'muztar'
iltifāt-e-nigah-e-hosh-rubā hai to sahī
KHun-chakan aaj mere dil ki sada hai to sahi
teri bedad taghaful ka gila hai to sahi
tamtamane lage phir lala-o-gul ke ruKHsar
koi sho'la tah-e-daman-e-saba hai to sahi
KHud-baKHud koi meri samt khincha aata hai
husn bhi mo'taqid-e-jazb-e-wafa hai to sahi
justuju-e-haram-o-dair karun kyon ai dost
bahr-e-sajda tera naqsh-e-kaf-e-pa hai to sahi
karam-e-yar se mayus na ho ai 'muztar'
iltifat-e-nigah-e-hosh-ruba hai to sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.