KHun-e-dil hai nikhaar kanTon par
ḳhūn-e-dil hai nikhār kāñToñ par
dekhtā jā bahār kāñToñ par
inqilāb-e-chaman kī baat karo
ham ne dekhī bahār kāñToñ par
merī dīvāngī bhī dekh chukī
dāman-e-tār-tār kāñToñ par
fasl-e-gul bhī guzār dī ham ne
ai ġham-e-rozgār kāñToñ par
dil kī be-ḳhvābiyāñ na jā.eñgī
niiñd aa.e hazār kāñToñ par
baat kyā hai ki us ke ġham kī tarah
lauTtī hai bahār kāñToñ par
haa.e vo chand husn-e-kār 'urūj'
jin ko aatā hai pyaar kāñToñ par
KHun-e-dil hai nikhaar kanTon par
dekhta ja bahaar kanTon par
inqilab-e-chaman ki baat karo
hum ne dekhi bahaar kanTon par
meri diwangi bhi dekh chuki
daman-e-tar-tar kanTon par
fasl-e-gul bhi guzar di hum ne
ai gham-e-rozgar kanTon par
dil ki be-KHwabiyan na jaengi
nind aae hazar kanTon par
baat kya hai ki us ke gham ki tarah
lauTti hai bahaar kanTon par
hae wo chand husn-e-kar 'uruj'
jin ko aata hai pyar kanTon par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.