ḳhūn-e-dil kā jo kuchh ashkoñ se pata miltā hai
ham ko jī khol ke rone kā mazā miltā hai
ham se is ishq-e-majāzī kī haqīqat pūchho
ki ye but jab nahīñ milte to ḳhudā miltā hai
shauq se kar mujhe pāmāl magar ye to batā
ḳhaak meñ milne se mere tujhe kyā miltā hai
aaj tak ham ko to vo but na milā par na milā
kahte haiñ DhūñDne vaale ko ḳhudā miltā hai
kund ḳhanjar kī shikāyat maiñ karūñ kyuuñ 'nātiq'
sach to ye hai ki mujhe yuuñ hī mazā miltā hai
KHun-e-dil ka jo kuchh ashkon se pata milta hai
hum ko ji khol ke rone ka maza milta hai
hum se is ishq-e-majazi ki haqiqat puchho
ki ye but jab nahin milte to KHuda milta hai
shauq se kar mujhe pamal magar ye to bata
KHak mein milne se mere tujhe kya milta hai
aaj tak hum ko to wo but na mila par na mila
kahte hain DhunDne wale ko KHuda milta hai
kund KHanjar ki shikayat main karun kyun 'natiq'
sach to ye hai ki mujhe yun hi maza milta hai
KHun-e-dil ka jo kuchh ashkon se pata milta hai
Nomaan Shauque
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.