KHun-e-nahaq ki tarah galiyon mein jab bahti hai raat
ḳhūn-e-nāhaq kī tarah galiyoñ meñ jab bahtī hai raat
zarra zarra chīḳhtā hai aur chup rahtī hai raat
pārsāoñ ke haram ābād rakhne ke liye
dāshtaoñ kī tarah hans hans ke dukh sahtī hai raat
jab kivāḌoñ se havā sargoshiyāñ karne lage
tab diye kī lau se dhīre dhīre kuchh kahtī hai raat
chāñd tāroñ ke isī malbe se taaza āftāb
sar uThātā hai khañDar kī tarah jab Dahtī hai raat
kaun darvāze dabe qadmoñ nikal jaatā hai din
kaun sī dahlīz par sar rakh ke so rahtī hai raat
KHun-e-nahaq ki tarah galiyon mein jab bahti hai raat
zarra zarra chiKHta hai aur chup rahti hai raat
parsaon ke haram aabaad rakhne ke liye
dashtaon ki tarah hans hans ke dukh sahti hai raat
jab kiwaDon se hawa sargoshiyan karne lage
tab diye ki lau se dhire dhire kuchh kahti hai raat
chand taron ke isi malbe se taza aaftab
sar uThata hai khanDar ki tarah jab Dahti hai raat
kaun darwaze dabe qadmon nikal jata hai din
kaun si dahliz par sar rakh ke so rahti hai raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.