KHun-fishan ho gaya gul-nihad-e-husain abr-o-baad-e-husain
KHun-fishan ho gaya gul-nihad-e-husain abr-o-baad-e-husain
Iqtidar Javed
MORE BYIqtidar Javed
ḳhūñ-fishāñ ho gayā gul-nihād-e-husain abr-o-bād-e-husain
chal paḌī regzāroñ meñ bād-e-husain abr-o-bād-e-husain
raat bhar niiñd meñ hai mirā 'ishq aur hukmrān-e-damishq
girya-e-sub.h hai aur yād-e-husain abr-o-bād-e-husain
hashr kā din farishtoñ kī āvāz aur mustaqil ḳhāmushī
ek nād-e-'alī ek nād-e-husain abr-o-bād-e-husain
ek bārish-bharī tez mahkār se dil mahakne lagā
jaañ nasheb-e-hasan dil savād-e-husain abr-o-bād-e-husain
āya-e-ḳhvāb par paak as.hāb par mustaqil rahmateñ
karbalā.ī haiñ ham ḳhāna-zād-e-husain abr-o-bād-e-husain
shīsha-e-jān ke naam kī ret thī surḳh-tar ho ga.ī
vo murād-e-nabī vo murād-e-husain abr-o-bād-e-husain
kūfa-e-nām meñ ye laḌā.ī mirī āḳhirī saañs tak
merī hubb-e-'alī hai jihād-e-husain abr-o-bād-e-husain
marg-bar-marg ho us pe jo kūfiyoñ kī tarah uḌ gayā
jo garajne lagā us ko dād-e-husain abr-o-bād-e-husain
KHun-fishan ho gaya gul-nihad-e-husain abr-o-baad-e-husain
chal paDi regzaron mein baad-e-husain abr-o-baad-e-husain
raat bhar nind mein hai mera 'ishq aur hukmran-e-damishq
girya-e-subh hai aur yaad-e-husain abr-o-baad-e-husain
hashr ka din farishton ki aawaz aur mustaqil KHamushi
ek nad-e-'ali ek nad-e-husain abr-o-baad-e-husain
ek barish-bhari tez mahkar se dil mahakne laga
jaan nasheb-e-hasan dil sawad-e-husain abr-o-baad-e-husain
aaya-e-KHwab par pak ashab par mustaqil rahmaten
karbalai hain hum KHana-zad-e-husain abr-o-baad-e-husain
shisha-e-jaan ke nam ki ret thi surKH-tar ho gai
wo murad-e-nabi wo murad-e-husain abr-o-baad-e-husain
kufa-e-nam mein ye laDai meri aaKHiri sans tak
meri hubb-e-'ali hai jihad-e-husain abr-o-baad-e-husain
marg-bar-marg ho us pe jo kufiyon ki tarah uD gaya
jo garajne laga us ko dad-e-husain abr-o-baad-e-husain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.