KHun ki har bund patthar ho chuki
ḳhuun kī har buuñd patthar ho chukī
zindagī ḳhatre se bāhar ho chukī
āñdhiyoñ kī zad pe ai reg-e-ravāñ
be-gharī terā muqaddar ho chukī
maiñ nikal aayā hisār-e-jism se
sard jab sho.aloñ kī chādar ho chukī
ehtiyātoñ se bhī kuchh hāsil nahīñ
ab to ye miTTī bhī banjar ho chukī
sāya-e-aks-e-navā bhī miT gayā
dhuup bhī muTThī barābar ho chukī
KHun ki har bund patthar ho chuki
zindagi KHatre se bahar ho chuki
aandhiyon ki zad pe ai reg-e-rawan
be-ghari tera muqaddar ho chuki
main nikal aaya hisar-e-jism se
sard jab shoalon ki chadar ho chuki
ehtiyaton se bhi kuchh hasil nahin
ab to ye miTTi bhi banjar ho chuki
saya-e-aks-e-nawa bhi miT gaya
dhup bhi muTThi barabar ho chuki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.