KHun oDhe hue har ghar ka sarapa nikla
ḳhuun oḌhe hue har ghar kā sarāpā niklā
aap ke shahr kā andāz nirālā niklā
chhū ke ik shaḳhs ko parkhā to mulammā niklā
us ko maiñ kaisā samajhtā thā vo kaisā niklā
ruuh vīrān milī rañg parīda niklā
us ko nazdīk se dekhā to zamāna niklā
sach ke sahrā meñ unheñ DhūñD ke thak-hār ga.e
jhuuT ke shahr meñ yāroñ kā baserā niklā
ḳhush ho ai dhuup ke nezoñ se jhulasne vaalo
chāñd ke dosh pe sūraj kā janāza niklā
jis se katrā ke nikalte rahe barsoñ sar-e-rāh
us se kal haath milāyā to vo apnā niklā
kahīñ sahrā meñ bhī Das le na hameñ sairābī
ret ke batn se phunkārtā dariyā niklā
narm-rau thā to sabhī raah se muñh moḌ ga.e
sañg uThāyā to mire saath zamāna niklā
vādiyāñ lafz o ma.ānī kī tah-e-āb huiiñ
kin pahāḌoñ se ḳhayālāt kā jharnā niklā
KHun oDhe hue har ghar ka sarapa nikla
aap ke shahr ka andaz nirala nikla
chhu ke ek shaKHs ko parkha to mulamma nikla
us ko main kaisa samajhta tha wo kaisa nikla
ruh viran mili rang parida nikla
us ko nazdik se dekha to zamana nikla
sach ke sahra mein unhen DhunD ke thak-haar gae
jhuT ke shahr mein yaron ka basera nikla
KHush ho ai dhup ke nezon se jhulasne walo
chand ke dosh pe suraj ka janaza nikla
jis se katra ke nikalte rahe barson sar-e-rah
us se kal hath milaya to wo apna nikla
kahin sahra mein bhi Das le na hamein sairabi
ret ke batn se phunkarta dariya nikla
narm-rau tha to sabhi rah se munh moD gae
sang uThaya to mere sath zamana nikla
wadiyan lafz o maani ki tah-e-ab huin
kin pahaDon se KHayalat ka jharna nikla
- Book : paalkii kahkashaa.n (Pg. 124)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.