KHun-rang hui sham shafaq se bhi ziyaada
ḳhūñ-rañg huī shaam shafaq se bhī ziyāda
dil Duub gayā duur ufaq se bhī ziyāda
laḌkī vo huī jaatī hai zaḳhmoñ kī dhanak sī
saada jo rahī saada varaq se bhī ziyāda
bachpan ke khilaune kī tarah mujh ko bhulā do
maiñ yaad rakhūñ tum ko sabaq se bhī ziyāda
kyā dekh liyā ḳhvāb ne ā.īna-e-ta.abīr
dil ho gayā faq chehra-e-faq se bhī ziyāda
'pinhāñ' yahāñ daulat ho ki tāqat ho ki shohrat
matlūb talab-gāroñ ko haq se bhī ziyāda
KHun-rang hui sham shafaq se bhi ziyaada
dil Dub gaya dur ufaq se bhi ziyaada
laDki wo hui jati hai zaKHmon ki dhanak si
sada jo rahi sada waraq se bhi ziyaada
bachpan ke khilaune ki tarah mujh ko bhula do
main yaad rakhun tum ko sabaq se bhi ziyaada
kya dekh liya KHwab ne aaina-e-tabir
dil ho gaya faq chehra-e-faq se bhi ziyaada
'pinhan' yahan daulat ho ki taqat ho ki shohrat
matlub talab-garon ko haq se bhi ziyaada
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.