KHun rulwaegi ye jangal-parasti ek din
ḳhuun rulvā.egī ye jañgal-parastī ek din
sab chale jā.eñge ḳhālī kar ke bastī ek din
chūstā rahtā hai ras bhauñrā abhī tak dekh lo
phuul ne bhūle se kī thī sarparastī ek din
dene vaale ne tabī.at kyā ajab dī hai use
ek din ḳhāna-badoshī ghar-grihastī ek din
kaise kaise log dastāroñ ke mālik ho ga.e
bik rahī thī shahr meñ thoḌī sī sastī ek din
tum ko ai vīrāniyoñ shāyad nahīñ ma.alūm hai
ham banā.eñge isī sahrā ko bastī ek din
roz-o-shab ham ko bhī samjhātī hai miTTī qabr kī
ḳhaak meñ mil jā.egī terī bhī hastī ek din
KHun rulwaegi ye jangal-parasti ek din
sab chale jaenge KHali kar ke basti ek din
chusta rahta hai ras bhaunra abhi tak dekh lo
phul ne bhule se ki thi sarparasti ek din
dene wale ne tabiat kya ajab di hai use
ek din KHana-badoshi ghar-grihasti ek din
kaise kaise log dastaron ke malik ho gae
bik rahi thi shahr mein thoDi si sasti ek din
tum ko ai viraniyon shayad nahin malum hai
hum banaenge isi sahra ko basti ek din
roz-o-shab hum ko bhi samjhati hai miTTi qabr ki
KHak mein mil jaegi teri bhi hasti ek din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.