KHwab chahe KHwab hi ho dil lagane de mujhe
ḳhvāb chāhe ḳhvāb hī ho dil lagāne de mujhe
is haqīqat se kabhī to jaañ chhuḌāne de mujhe
inqalāb aa ke rahegā haq kī hogī jiit hī
baiTh mere paas ḳhud ko varġhalāne de mujhe
be-tarah tanhā haiñ vo jo ishq ke qaa.il nahīñ
un ko siine se lagā kuchh pal sulāne de mujhe
āj-kal to ḳhvāb bhī aane lage haiñ aam se
aa bichhaḌ jā ḳhvāb meñ phir ġham purāne de mujhe
roknā hai ḳhud ko har kār-e-junūñ se ab mujhe
yaar ab kuchh dost nāseh kuchh siyāne de mujhe
ghar meñ rah kar bhī tirī sahrā-navardī kam nahīñ
apnī sī dīvāngī ab ai divāne de mujhe
ishq yak-rañgī huā aur ġham bhī kuchh taaza nahīñ
shā.irī ke vāste achchhe bahāne de mujhe
ye chaman sahrā huā hai panchhī bhī ḳhāmosh haiñ
pyaar barsā kar yahāñ bone tarāne de mujhe
daadī naanī kī kahānī meñ sabhī jab Thiik thā
badlā kyoñ merā jahāñ guzre zamāne de mujhe
KHwab chahe KHwab hi ho dil lagane de mujhe
is haqiqat se kabhi to jaan chhuDane de mujhe
inqalab aa ke rahega haq ki hogi jit hi
baiTh mere pas KHud ko warghalane de mujhe
be-tarah tanha hain wo jo ishq ke qail nahin
un ko sine se laga kuchh pal sulane de mujhe
aaj-kal to KHwab bhi aane lage hain aam se
aa bichhaD ja KHwab mein phir gham purane de mujhe
rokna hai KHud ko har kar-e-junun se ab mujhe
yar ab kuchh dost naseh kuchh siyane de mujhe
ghar mein rah kar bhi teri sahra-nawardi kam nahin
apni si diwangi ab ai diwane de mujhe
ishq yak-rangi hua aur gham bhi kuchh taza nahin
shairi ke waste achchhe bahane de mujhe
ye chaman sahra hua hai panchhi bhi KHamosh hain
pyar barsa kar yahan bone tarane de mujhe
dadi nani ki kahani mein sabhi jab Thik tha
badla kyon mera jahan guzre zamane de mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.