KHwab-e-didar na dekha humne
ḳhvāb-e-dīdār na dekhā ham ne
ġhā.ebāna unheñ chāhā ham ne
kam na thā ishq azal se rusvā
kar diyā aur bhī rusvā ham ne
zindagī mahv-e-ḳhud-ārā.ī thī
aañkh uThā kar bhī na dekhā ham ne
raah se duur nazar aa.e jo ḳhaar
un ko palkoñ se uThāyā ham ne
le liyā koh-e-havādis sar par
vaqt ke dil ko na toḌā ham ne
kar diyā faash tirā ġham le kar
rāz-e-ejāz-e-masīhā ham ne
koh sañgīn haqā.eq thā jahāñ
husn kā ḳhvāb tarāshā ham ne
dard ālūda-e-darmāñ thā 'ravish'
dard ko dard banāyā ham ne
KHwab-e-didar na dekha hum ne
ghaebana unhen chaha hum ne
kam na tha ishq azal se ruswa
kar diya aur bhi ruswa hum ne
zindagi mahw-e-KHud-arai thi
aankh uTha kar bhi na dekha hum ne
rah se dur nazar aae jo KHar
un ko palkon se uThaya hum ne
le liya koh-e-hawadis sar par
waqt ke dil ko na toDa hum ne
kar diya fash tera gham le kar
raaz-e-ejaz-e-masiha hum ne
koh sangin haqaeq tha jahan
husn ka KHwab tarasha hum ne
dard aaluda-e-darman tha 'rawish'
dard ko dard banaya hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.