KHwab-e-ghaflat se hum to ab TuTe
ḳhvāb-e-ġhaflat se ham to ab TuuTe
kis tarah ye tilsim-e-shab TuuTe
vo ḳhudā jaane mehrbāñ kab hoñ
silsila be-ruḳhī kā kab TuuTe
shakl apnī lage hai begānī
hādse ham pe kyā ajab TuuTe
bichh ga.ī har taraf saf-e-mātam
fauj-e-bātil pe aap jab TuuTe
jab yaqīnan ḳhatā hai āñkhoñ kī
shīsha-e-dil pe kyoñ ġhazab TuuTe
mo'tariz tum pe to zamāna thā
kis liye ham pe be-sabab TuuTe
hai hukūmat vahāñ pe shaitāñ kī
jis jagah rishta-e-adab TuuTe
jis meñ sach bolnā ho nā-mumkin
aisī bastī pe qahr-e-rab TuuTe
tum jahāñ raunaq-e-hayāt bano
zindagī kī vahāñ talab TuuTe
vo ḳhafā ham se kyā hue 'mashkūr'
jitne armān-e-dil the sab TuuTe
KHwab-e-ghaflat se hum to ab TuTe
kis tarah ye tilsim-e-shab TuTe
wo KHuda jaane mehrban kab hon
silsila be-ruKHi ka kab TuTe
shakl apni lage hai begani
hadse hum pe kya ajab TuTe
bichh gai har taraf saf-e-matam
fauj-e-baatil pe aap jab TuTe
jab yaqinan KHata hai aankhon ki
shisha-e-dil pe kyon ghazab TuTe
mo'tariz tum pe to zamana tha
kis liye hum pe be-sabab TuTe
hai hukumat wahan pe shaitan ki
jis jagah rishta-e-adab TuTe
jis mein sach bolna ho na-mumkin
aisi basti pe qahr-e-rab TuTe
tum jahan raunaq-e-hayat bano
zindagi ki wahan talab TuTe
wo KHafa hum se kya hue 'mashkur'
jitne arman-e-dil the sab TuTe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.