KHwab-gahon se azan-e-fajr Takraati rahi
ḳhvāb-gāhoñ se azān-e-fajr Takrātī rahī
din chaḌhe tak ḳhāmushī mimbar pe chillātī rahī
ek lamhe kī ḳhatā phailī to saarī zindagī
chubhte zarre kāñch ke palkoñ se chunvātī rahī
kab yaqīñ thā koī aa.egā magar zālim havā
band darvāze ko dastak de ke khulvātī rahī
lams-e-harf-o-saut kī lazzat se vāqif thī magar
pahlū-e-āvāz meñ taḳh.īl sharmātī rahī
sūrateñ aisī ki jin ke ik tasavvur se 'zahīr'
jism ke dariyā kī ik ek mauj bal khātī rahī
KHwab-gahon se azan-e-fajr Takraati rahi
din chaDhe tak KHamushi mimbar pe chillati rahi
ek lamhe ki KHata phaili to sari zindagi
chubhte zarre kanch ke palkon se chunwati rahi
kab yaqin tha koi aaega magar zalim hawa
band darwaze ko dastak de ke khulwati rahi
lams-e-harf-o-saut ki lazzat se waqif thi magar
pahlu-e-awaz mein taKHil sharmati rahi
suraten aisi ki jin ke ek tasawwur se 'zahir'
jism ke dariya ki ek ek mauj bal khati rahi
- Book : Roshan Waraq Waraq (Pg. 29)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.