KHwab jo dekhe jhuTe nikle kuchh na mila tabiron mein
KHwab jo dekhe jhuTe nikle kuchh na mila tabiron mein
Indr Mohan Mehta Kaif
MORE BYIndr Mohan Mehta Kaif
ḳhvāb jo dekhe jhūTe nikle kuchh na milā ta.abīroñ meñ
dil ab kis ko DhūñD rahā hai album kī tasvīroñ meñ
ik gosha to aisā bhī ho jis kā koī naam na ho
saarī dhartī baTī huī hai mulkoñ meñ jāgīroñ meñ
kāñdhoñ ke rishte bhī kyā haiñ shahroñ shahroñ phaile haiñ
dil kā dard samajhne vaalā kaun mile rahgīroñ meñ
kuchh hameñ duniyā raas na aa.ī kuchh dil ne man-mānī kī
baiTh ke rang bharā karte haiñ ab apnī tasvīroñ meñ
dil ke rishte duur kī bāteñ phir bhī kuchh aisā lagtā hai
ham tum vo sab bañdhe hue haiñ an-dekhī zanjīroñ meñ
'kaif' ye dil kā gorakh-dhandā samjheñ to samjhā.eñ bhī
ham dīvāne haiñ jā baiThe mast-e-alast faqīroñ meñ
KHwab jo dekhe jhuTe nikle kuchh na mila tabiron mein
dil ab kis ko DhunD raha hai album ki taswiron mein
ek gosha to aisa bhi ho jis ka koi nam na ho
sari dharti baTi hui hai mulkon mein jagiron mein
kandhon ke rishte bhi kya hain shahron shahron phaile hain
dil ka dard samajhne wala kaun mile rahgiron mein
kuchh hamein duniya ras na aai kuchh dil ne man-mani ki
baiTh ke rang bhara karte hain ab apni taswiron mein
dil ke rishte dur ki baaten phir bhi kuchh aisa lagta hai
hum tum wo sab bandhe hue hain an-dekhi zanjiron mein
'kaif' ye dil ka gorakh-dhanda samjhen to samjhaen bhi
hum diwane hain ja baiThe mast-e-alast faqiron mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.