KHwab ka ham-safar raha hun main
ḳhvāb kā ham-safar rahā huuñ maiñ
muddatoñ dar-ba-dar rahā huuñ maiñ
vo yahīñ aas paas hai mere
us ko mahsūs kar rahā huuñ maiñ
us ko pahchāntā huuñ har ruḳh se
us ke nazdīk-tar rahā huuñ maiñ
tai huā ye bhī marhala āḳhir
tīrgī se ubhar rahā huuñ maiñ
rut badalne lagī hai phir 'anjum'
pattī pattī bikhar rahā huuñ maiñ
KHwab ka ham-safar raha hun main
muddaton dar-ba-dar raha hun main
wo yahin aas pas hai mere
us ko mahsus kar raha hun main
us ko pahchanta hun har ruKH se
us ke nazdik-tar raha hun main
tai hua ye bhi marhala aaKHir
tirgi se ubhar raha hun main
rut badalne lagi hai phir 'anjum'
patti patti bikhar raha hun main
- Book : سکوت دشت (Pg. 79)
- Author : اقبال انجم
- Publication : ایجوکیشنل پبلشنگ ہاؤس دہلی۔6 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.