KHwab ka KHwab haqiqat ki haqiqat samjhen
ḳhvāb kā ḳhvāb haqīqat kī haqīqat samjheñ
ye samajhnā hai to phir pahle tarīqat samjheñ
maiñ javāban bhī jinheñ gaalī nahīñ detā vo log
merī jānib se ise ḳhaas mohabbat samjheñ
maiñ to mar kar bhī na bechūñgā kabhī yaar kā naam
aap tājir haiñ numā.ish ko ibādat samjheñ
maiñ kisī beach ke raste se nahīñ pahuñchā yahāñ
hāsidoñ se ye guzārish hai riyāzat samjheñ
merā be-sāḳhta-pan un ke liye ḳhatra hai
sāḳhta log mujhe kyuuñ na musībat samjheñ
facebōk vaqt agar de to ye pyāre bachche
apne ḳhāmosh buzurgoñ kī shikāyat samjheñ
pesh kartā huuñ maiñ ḳhud apnī giraftārī 'alī'
un se kahnā ki mujhe zer-e-hirāsat samjheñ
KHwab ka KHwab haqiqat ki haqiqat samjhen
ye samajhna hai to phir pahle tariqat samjhen
main jawaban bhi jinhen gali nahin deta wo log
meri jaanib se ise KHas mohabbat samjhen
main to mar kar bhi na bechunga kabhi yar ka nam
aap tajir hain numaish ko ibaadat samjhen
main kisi beach ke raste se nahin pahuncha yahan
hasidon se ye guzarish hai riyazat samjhen
mera be-saKHta-pan un ke liye KHatra hai
saKHta log mujhe kyun na musibat samjhen
facebook waqt agar de to ye pyare bachche
apne KHamosh buzurgon ki shikayat samjhen
pesh karta hun main KHud apni giraftari 'ali'
un se kahna ki mujhe zer-e-hirasat samjhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.