Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHwab ke ganw mein pale hain hum

Javed Akhtar

KHwab ke ganw mein pale hain hum

Javed Akhtar

MORE BYJaved Akhtar

    ḳhvāb ke gaañv meñ pale haiñ ham

    paanī chhalnī meñ le chale haiñ ham

    chhāchh phūñkeñ ki apne bachpan meñ

    duudh se kis tarah jale haiñ ham

    ḳhud haiñ apne safar dushvārī

    apne pairoñ ke aable haiñ ham

    to mat kah hameñ burā duniyā

    ne Dhālā hai aur Dhale haiñ ham

    kyuuñ haiñ kab tak haiñ kis ḳhātir haiñ

    baḌe sanjīda mas.ale haiñ ham

    KHwab ke ganw mein pale hain hum

    pani chhalni mein le chale hain hum

    chhachh phunken ki apne bachpan mein

    dudh se kis tarah jale hain hum

    KHud hain apne safar ki dushwari

    apne pairon ke aable hain hum

    tu to mat kah hamein bura duniya

    tu ne Dhaala hai aur Dhale hain hum

    kyun hain kab tak hain kis ki KHatir hain

    baDe sanjida masale hain hum

    Source :
    • Book : tarkash (Pg. 71)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now