KHwab KHwab chashm-e-tar
ḳhvāb ḳhvāb chashm-e-tar
phir rahā huuñ dar-ba-dar
Dūbtī sadāoñ ne
phir nikālā apnā sar
laḳht-laḳht raat thī
zaḳhm-zaḳhm thī sahar
dhūp-dhūp aag thī
jal rahe the bāl-o-par
phir vahī tabāhiyāñ
phir du’ā.eñ be-asar
jaane kis safar meñ huuñ
lag rahā hai ḳhud se Dar
KHwab KHwab chashm-e-tar
phir raha hun dar-ba-dar
Dubti sadaon ne
phir nikala apna sar
laKHt-laKHt raat thi
zaKHm-zaKHm thi sahar
dhup-dhup aag thi
jal rahe the baal-o-par
phir wahi tabahiyan
phir du’aen be-asar
jaane kis safar mein hun
lag raha hai KHud se Dar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.