KHwab ki pur-fareb duniya mein
ḳhvāb kī pur-fareb duniyā meñ
ḳhvāhishoñ se sukūn paa.eñ kyā
jism meñ kuchh rahā nahīñ baaqī
ab batāo ki ab luTā.eñ kyā
vahshateñ chār-sū haiñ bikhrī huī
aise meñ apne ghar ko jaa.eñ kyā
merā qātil hī merā munsif hai
so use dard-e-dil sunā.eñ kyā
KHwab ki pur-fareb duniya mein
KHwahishon se sukun paen kya
jism mein kuchh raha nahin baqi
ab batao ki ab luTaen kya
wahshaten chaar-su hain bikhri hui
aise mein apne ghar ko jaen kya
mera qatil hi mera munsif hai
so use dard-e-dil sunaen kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.