KHwab ki surat kabhi ham-rang afsana mile
ḳhvāb kī sūrat kabhī ham-rañg afsāna mile
chāñd jaise log ham se māhtābāna mile
dīda-o-dil meñ basā lī us ke kūche kī havā
us kī zulfoñ kī mahak se bhī asīrana mile
ham bhī ik but kī parastish ke liye betāb haiñ
kaun jaane kab mohabbat kā sanam-ḳhāna mile
ārzū-mand-e-tamāsha haiñ mirī tanhā.iyāñ
koī kāshāna nahīñ to koī vīrāna mile
KHwab ki surat kabhi ham-rang afsana mile
chand jaise log hum se mahtabana mile
dida-o-dil mein basa li us ke kuche ki hawa
us ki zulfon ki mahak se bhi asirana mile
hum bhi ek but ki parastish ke liye betab hain
kaun jaane kab mohabbat ka sanam-KHana mile
aarzu-mand-e-tamasha hain meri tanhaiyan
koi kashana nahin to koi virana mile
- Book : Sarkashidah (Pg. 337)
- Author : Sahba Akhtar
- Publication : Maktaba-e-Nadeem ke airia ko rangi Karachi (1977)
- Edition : 1977
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.