KHwab kya tha jo mere sar mein raha
ḳhvāb kyā thā jo mire sar meñ rahā
raat bhar ik shor sā ghar meñ rahā
ik kiran mehrāb se lipTī rahī
ek saayā adh-khule dar meñ rahā
TūTtī bantī rahīñ parchhā.iyāñ
ḳhvāhishoñ kā aks paikar meñ rahā
maiñ sar-e-tāq-e-sadā jal-bujh gayā
tū vo sho.ala thā ki patthar meñ rahā
pāniyoñ meñ mish.aleñ bahtī rahīñ
āsmāñ Thahrā samundar meñ rahā
ā.ina-dar-ā.ina sham.eñ bujhīñ
dekhnā apne muqaddar meñ rahā
KHwab kya tha jo mere sar mein raha
raat bhar ek shor sa ghar mein raha
ek kiran mehrab se lipTi rahi
ek saya adh-khule dar mein raha
TuTti banti rahin parchhaiyan
KHwahishon ka aks paikar mein raha
main sar-e-taq-e-sada jal-bujh gaya
tu wo shoala tha ki patthar mein raha
paniyon mein mishalen bahti rahin
aasman Thahra samundar mein raha
aaina-dar-aina shamen bujhin
dekhna apne muqaddar mein raha
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 605)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.