KHwab mein bhi udhar jo dil jae
ḳhvāb meñ bhī udhar jo dil jaa.e
phuul kī tarah zaḳhm khil jaa.e
vasl ho to hamārā aisā ho
dastaḳhat dastaḳhat se mil jaa.e
merā aañsū zamīñ pe girte hī
soch liije zamīñ na hil jaa.e
itnī chhoTī ho ye galī ki merā
tere baazū se baazū chhil jaa.e
KHwab mein bhi udhar jo dil jae
phul ki tarah zaKHm khil jae
wasl ho to hamara aisa ho
dastaKHat dastaKHat se mil jae
mera aansu zamin pe girte hi
soch lije zamin na hil jae
itni chhoTi ho ye gali ki mera
tere bazu se bazu chhil jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.