Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHwab mein teri shakl samo nahin sakta main

Naved Raza

KHwab mein teri shakl samo nahin sakta main

Naved Raza

MORE BYNaved Raza

    ḳhvāb meñ terī shakl samo nahīñ saktā maiñ

    isī liye to shāyad so nahīñ saktā maiñ

    maiñ to apne āñsuoñ se sharminda huuñ

    terī aañkh ke aañsū ro nahīñ saktā maiñ

    hadd-e-nazar tak ret ret hai āñkhoñ meñ

    ab is ret meñ phuul to bo nahīñ saktā maiñ

    maiñ bhī tere jaisā honā chāhtā huuñ

    lekin ab dariyā to ho nahīñ saktā maiñ

    dil par terī chup se lagne vaalā daaġh

    aisā daaġh hai jis ko dho nahīñ saktā maiñ

    KHwab mein teri shakl samo nahin sakta main

    isi liye to shayad so nahin sakta main

    main to apne aansuon se sharminda hun

    teri aankh ke aansu ro nahin sakta main

    hadd-e-nazar tak ret hi ret hai aankhon mein

    ab is ret mein phul to bo nahin sakta main

    main bhi tere jaisa hona chahta hun

    lekin ab dariya to ho nahin sakta main

    dil par teri chup se lagne wala dagh

    aisa dagh hai jis ko dho nahin sakta main

    Source :
    • Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 218)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now