KHwab mein wo mere aaghosh mein aa jata hai
KHwab mein wo mere aaghosh mein aa jata hai
Raja Naushad Ali Khan
MORE BYRaja Naushad Ali Khan
ḳhvāb meñ vo mire āġhosh meñ aa jaatā hai
merī sotī huī taqdīr jagā jaatā hai
gul-o-shabnam kā ye hotā hai chaman meñ anjām
hañs ke koī to koī ro ke chalā jaatā hai
josh par fasl-e-bahārī hai chaman meñ sayyād
ab qafas meñ to nahīñ ham se rahā jaatā hai
miT gayā huuñ vo sitam se nahīñ ġhāfil phir bhī
merī turbat kā nishāñ aa ke miTā jaatā hai
jal ke parvāna huā ḳhaak to us ke ġham meñ
muñh dhuāñ sham.a kā mahfil meñ huā jaatā hai
aap ne baiTh ke bālīñ pe jise dekhā thā
aaj duniyā se vo bīmār uThā jaatā hai
apne andāz pe aisā na ho āshiq ho jaa.e
ā.ina-ḳhāne meñ vo mahv-e-adā jaatā hai
yaad kartā nahīñ bhūle se vo tujh ko 'naushād'
haa.e tū jis kī mohabbat meñ miTā jaatā hai
KHwab mein wo mere aaghosh mein aa jata hai
meri soti hui taqdir jaga jata hai
gul-o-shabnam ka ye hota hai chaman mein anjam
hans ke koi to koi ro ke chala jata hai
josh par fasl-e-bahaari hai chaman mein sayyaad
ab qafas mein to nahin hum se raha jata hai
miT gaya hun wo sitam se nahin ghafil phir bhi
meri turbat ka nishan aa ke miTa jata hai
jal ke parwana hua KHak to us ke gham mein
munh dhuan shama ka mahfil mein hua jata hai
aap ne baiTh ke baalin pe jise dekha tha
aaj duniya se wo bimar uTha jata hai
apne andaz pe aisa na ho aashiq ho jae
aaina-KHane mein wo mahw-e-ada jata hai
yaad karta nahin bhule se wo tujh ko 'naushad'
hae tu jis ki mohabbat mein miTa jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.