KHwab mein ya KHayal mein mujhe mil
ḳhvāb meñ yā ḳhayāl meñ mujhe mil
tū kabhī ḳhadd-o-ḳhāl meñ mujhe mil
mere dil kī dhamāl meñ mujhe dekh
mere sur merī taal meñ mujhe mil
merī miTTī ko aañkh dī hai to phir
kisī mauj-e-visāl meñ mujhe mil
mujhe kyuuñ arsa-e-hayāt diyā
ab inheñ māh-o-sāl meñ mujhe mil
kisī sub.h-e-firāq meñ mujhe chhoḌ
kisī shām-e-malāl meñ mujhe mil
tū ḳhud apnī misāl hai vo to hai
isī apnī misāl meñ mujhe mil
tere shāyān-e-shāñ hai vasf yahī
kisī vaqt-e-muhāl meñ mujhe mil
mere kal kā pata nahīñ merī jaañ
tū abhī mere haal meñ mujhe mil
mujhe mil ke 'urūj de yā na de
mere vaqt-e-zavāl meñ mujhe mil
KHwab mein ya KHayal mein mujhe mil
tu kabhi KHadd-o-KHal mein mujhe mil
mere dil ki dhamal mein mujhe dekh
mere sur meri tal mein mujhe mil
meri miTTi ko aankh di hai to phir
kisi mauj-e-visal mein mujhe mil
mujhe kyun arsa-e-hayat diya
ab inhen mah-o-sal mein mujhe mil
kisi subh-e-firaq mein mujhe chhoD
kisi sham-e-malal mein mujhe mil
tu KHud apni misal hai wo to hai
isi apni misal mein mujhe mil
tere shayan-e-shan hai wasf yahi
kisi waqt-e-muhaal mein mujhe mil
mere kal ka pata nahin meri jaan
tu abhi mere haal mein mujhe mil
mujhe mil ke 'uruj de ya na de
mere waqt-e-zawal mein mujhe mil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.