KHwab sa tha KHayal aaKHir-e-shab
ḳhvāb sā thā ḳhayāl āḳhir-e-shab
rah gayā ik malāl āḳhir-e-shab
jaam bhar kar vo aadhī raat kā chāñd
Dāltā hai dhamāl āḳhir-e-shab
uḌtī phirtī hai zulf kī ḳhushbū
kholtā hai vo baal āḳhir-e-shab
ek hī baat hai hamāre liye
shām-e-ġham yā visāl āḳhir-e-shab
dekhiye ḳhvāb kab mukammal ho
aaj phir ye savāl āḳhir-e-shab
ik sitāre pe aa gayā hai 'azīm'
chāñd jaisā jamāl āḳhir-e-shab
KHwab sa tha KHayal aaKHir-e-shab
rah gaya ek malal aaKHir-e-shab
jam bhar kar wo aadhi raat ka chand
Dalta hai dhamal aaKHir-e-shab
uDti phirti hai zulf ki KHushbu
kholta hai wo baal aaKHir-e-shab
ek hi baat hai hamare liye
sham-e-gham ya visal aaKHir-e-shab
dekhiye KHwab kab mukammal ho
aaj phir ye sawal aaKHir-e-shab
ek sitare pe aa gaya hai 'azim'
chand jaisa jamal aaKHir-e-shab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.