KHwab the mere kuchh suhane se
ḳhvāb the mere kuchh suhāne se
aap ko kyā milā miTāne se
rāh-e-haq par jo log chalte haiñ
ḳhauf khāte nahīñ zamāne se
ham ko dil kā sukūn miltā hai
fāqa-mastoñ ko kuchh khilāne se
bad-duā mat ġharīb kī lenā
baaz rahnā use satāne se
ban ke aate haiñ kaise kaise log
ai ḳhudā tere kār-ḳhāne se
muskurāte raho ḳhudā ke liye
phuul jhaḌte haiñ muskurāne se
un se miltī huuñ maiñ adab ke saath
log milte haiñ jab purāne se
kah ke achchhī ġhazal bhī ai 'shobhā'
Dartī ho kis liye sunāne se
KHwab the mere kuchh suhane se
aap ko kya mila miTane se
rah-e-haq par jo log chalte hain
KHauf khate nahin zamane se
hum ko dil ka sukun milta hai
faqa-maston ko kuchh khilane se
bad-dua mat gharib ki lena
baz rahna use satane se
ban ke aate hain kaise kaise log
ai KHuda tere kar-KHane se
muskuraate raho KHuda ke liye
phul jhaDte hain muskurane se
un se milti hun main adab ke sath
log milte hain jab purane se
kah ke achchhi ghazal bhi ai 'shobha'
Darti ho kis liye sunane se
- Book : Rehguzar (Pg. 28)
- Author : Shobha Kukkal
- Publication : Kalpant publication B-2 Mansrovar park shahdra delhi-32 (2012-2013)
- Edition : 2012-2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.