KHwab yun hi nahin hote pure
ḳhvāb yuuñ hī nahīñ hote puure
jān-o-tan lagte haiñ puure puure
raas aa.egī mohabbat us ko
jis se hote nahīñ va.ade puure
chhoḌ aa.e tire hisse ke dost
ham ne manzar nahīñ dekhe puure
guftugū hosh-rubā hai us kī
us kī bāteñ haiñ sahīfe puure
hijr aur raat taqābul meñ haiñ
ashk puure ki sitāre puure
yaad huuñ aadhā sā ḳhud ko 'ahmad'
naqsh ā.īne meñ kab the puure
KHwab yun hi nahin hote pure
jaan-o-tan lagte hain pure pure
ras aaegi mohabbat us ko
jis se hote nahin wade pure
chhoD aae tere hisse ke dost
hum ne manzar nahin dekhe pure
guftugu hosh-ruba hai us ki
us ki baaten hain sahife pure
hijr aur raat taqabul mein hain
ashk pure ki sitare pure
yaad hun aadha sa KHud ko 'ahmad'
naqsh aaine mein kab the pure
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.