KHwab-zadon ka dukh zamini hai
ḳhvāb-zādoñ kā dukh zamīnī hai
ye haqīqat baḌī kamīnī hai
ai ḳhudā-e-gumāñ koī tajvīz
ma.arka ab koī yaqīnī hai
pattharoñ ke mizāj meñ shāmil
ābgīnoñ pe nukta-chīnī hai
vo mare sāmne se uTh jaa.e
jis kā maqsad tamāsh-bīnī hai
ghar kī taz.īn meñ sar-e-fehrist
ek aurat kī nukta-chīnī hai
ek pal ke jamāl meñ yakjā
ka.ī sadiyoñ kī dil-nashīnī hai
KHwab-zadon ka dukh zamini hai
ye haqiqat baDi kamini hai
ai KHuda-e-guman koi tajwiz
marka ab koi yaqini hai
pattharon ke mizaj mein shamil
aabginon pe nukta-chini hai
wo mare samne se uTh jae
jis ka maqsad tamash-bini hai
ghar ki tazin mein sar-e-fehrist
ek aurat ki nukta-chini hai
ek pal ke jamal mein yakja
kai sadiyon ki dil-nashini hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.