KHwabon ka intiKHab badalta dikhai de
ḳhvāboñ kā intiḳhāb badaltā dikhā.ī de
kaash ab ki iḳhtiyār sañvartā dikhā.ī de
sayyād ke hunar kī satā.ish nahīñ ho ab
jis ko hai par nasīb vo uḌtā dikhā.ī de
itnī na intishār kī hiddat ho rū-ba-rū
insāñ ġham-e-hayāt meñ jaltā dikhā.ī de
kyā vo hisāb dars meñ rakkhegā kā.enāt
jis kā yahāñ vajūd shikasta dikhā.ī de
KHwabon ka intiKHab badalta dikhai de
kash ab ki iKHtiyar sanwarta dikhai de
sayyaad ke hunar ki sataish nahin ho ab
jis ko hai par nasib wo uDta dikhai de
itni na intishaar ki hiddat ho ru-ba-ru
insan gham-e-hayat mein jalta dikhai de
kya wo hisab dars mein rakkhega kaenat
jis ka yahan wajud shikasta dikhai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.