KHwabon ka koi sira nahin hai
ḳhvāboñ kā koī sirā nahīñ hai
hai bhī to mujhe patā nahīñ hai
tā-dūr ġhubār uḌ rahā hai
hone ko to kuchh huā nahīñ hai
phir raat kī sarzamīñ hai maiñ huuñ
aur haath meñ phir diyā nahīñ hai
phir raat kī sarzamīñ hai maiñ huuñ
aur haath meñ phir diyā nahīñ hai
ik ḳhvāb kī lau hai chashm-e-tar meñ
tasvīr meñ kuchh nayā nahīñ hai
bedār haiñ shahr kī havā.eñ
vo shaḳhs abhī gayā nahīñ hai
sahrā meñ ghaTā baras rahī hai
ye vaqt magar marā nahīñ hai
sāñsoñ meñ kasak hai ajnabī sī
us ne to abhī chhuā nahīñ hai
maiñ vaqt se chal rahī huuñ aage
tā-dūr koī sadā nahīñ hai
sarshār huuñ she'r kah ke 'nainā'
kuchh aur agar sila nahīñ hai
KHwabon ka koi sira nahin hai
hai bhi to mujhe pata nahin hai
ta-dur ghubar uD raha hai
hone ko to kuchh hua nahin hai
phir raat ki sarzamin hai main hun
aur hath mein phir diya nahin hai
phir raat ki sarzamin hai main hun
aur hath mein phir diya nahin hai
ek KHwab ki lau hai chashm-e-tar mein
taswir mein kuchh naya nahin hai
bedar hain shahr ki hawaen
wo shaKHs abhi gaya nahin hai
sahra mein ghaTa baras rahi hai
ye waqt magar mara nahin hai
sanson mein kasak hai ajnabi si
us ne to abhi chhua nahin hai
main waqt se chal rahi hun aage
ta-dur koi sada nahin hai
sarshaar hun she'r kah ke 'naina'
kuchh aur agar sila nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.