KHwabon ki anjuman mein ujala na ho saka
ḳhvāboñ kī anjuman meñ ujālā na ho sakā
chāhā thā phir bhī aaj saverā na ho sakā
ehsās kī ragoñ se Tapaktā rahā lahū
ham ko kisī se pyaar dobāra na ho sakā
aañsū mire mizāj kā hissa to ban ga.e
jhuknā kisī bhī taur gavārā na ho sakā
maiñ sham-e-intizār farozāñ kiye rahī
chāhat kā us taraf se ishāra na ho sakā
marne kī aarzū meñ shab-o-roz jal-bujhe
'nusrat' kā zindagī se kinārā na ho sakā
KHwabon ki anjuman mein ujala na ho saka
chaha tha phir bhi aaj sawera na ho saka
ehsas ki ragon se Tapakta raha lahu
hum ko kisi se pyar dobara na ho saka
aansu mere mizaj ka hissa to ban gae
jhukna kisi bhi taur gawara na ho saka
main sham-e-intizar farozan kiye rahi
chahat ka us taraf se ishaara na ho saka
marne ki aarzu mein shab-o-roz jal-bujhe
'nusrat' ka zindagi se kinara na ho saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.