KHwabon ki duniya phir se dikhla do amman
ḳhvāboñ kī duniyā phir se dikhlā do ammāñ
sone jāgne vaalī guḌiyā lā do ammāñ
maiñ duniyā kī chālākī ko jaan na pā.ūñ
mujh ko merā bholā-pan lauTā do ammāñ
har chehre ke pīchhe ik chehra dikhtā hai
dil kī āñkhoñ se ye bhed chhupā do ammāñ
duniyā ko ḳhush karte karte thak jaatī huuñ
hoñToñ par sachchī muskān sajā do ammāñ
dhuup uge to koī phuul nahīñ khiltā hai
āñgan ke in paudoñ ko ye sujhā do ammāñ
jab tum ne ham sab ko ik hī lahū pilāyā
rang birange kyoñ haiñ ham batlā do ammāñ
niiñd kahāñ kī ḳhvāboñ se ab kaisā rishta
ḳhālī lorī de kar hī bahlā do ammāñ
āñkhoñ ke ā.īnoñ meñ dhuñdlā-pan kyoñ hai
bhūle se hī dil kī baat batā do ammāñ
KHwabon ki duniya phir se dikhla do amman
sone jagne wali guDiya la do amman
main duniya ki chaalaki ko jaan na paun
mujh ko mera bhola-pan lauTa do amman
har chehre ke pichhe ek chehra dikhta hai
dil ki aankhon se ye bhed chhupa do amman
duniya ko KHush karte karte thak jati hun
honTon par sachchi muskan saja do amman
dhup uge to koi phul nahin khilta hai
aangan ke in paudon ko ye sujha do amman
jab tum ne hum sab ko ek hi lahu pilaya
rang birange kyon hain hum batla do amman
nind kahan ki KHwabon se ab kaisa rishta
KHali lori de kar hi bahla do amman
aankhon ke aainon mein dhundla-pan kyon hai
bhule se hi dil ki baat bata do amman
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.