KHwabon ki tabir bana kar dekhun to
ḳhvāboñ kī ta.abīr banā kar dekhūñ to
maiñ terī tasvīr banā kar dekhūñ to
ik qaidī ko karvaT lenā mushkil hai
phūloñ se zanjīr banā kar dekhūñ to
ik vīrān sā rasta ho aur shaam Dhale
us par ik rahgīr banā kar dekhūñ to
duniyā tujh par qabza karne aatī hai
maiñ tujh ko jāgīr banā kar dekhūñ to
kāġhaz kī kashtī meñ dariyā paar karūñ
tinkoñ se shahtīr banā kar dekhūñ to
is qirtās pe ashkoñ kā har rang khile
tasvīreñ dil-gīr banā kar dekhūñ to
bachche hoñ sahrā ho aur mashkīza ho
is meñ phir ik tiir banā kar dekhūñ to
'shā.ista' ik baar phir apne malbe se
sūrat-e-yak-ta.amīr banā kar dekhūñ to
KHwabon ki tabir bana kar dekhun to
main teri taswir bana kar dekhun to
ek qaidi ko karwaT lena mushkil hai
phulon se zanjir bana kar dekhun to
ek viran sa rasta ho aur sham Dhale
us par ek rahgir bana kar dekhun to
duniya tujh par qabza karne aati hai
main tujh ko jagir bana kar dekhun to
kaghaz ki kashti mein dariya par karun
tinkon se shahtir bana kar dekhun to
is qirtas pe ashkon ka har rang khile
taswiren dil-gir bana kar dekhun to
bachche hon sahra ho aur mashkiza ho
is mein phir ek tir bana kar dekhun to
'shaista' ek bar phir apne malbe se
surat-e-yak-tamir bana kar dekhun to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.