KHwabon ki tafsil bata kar jaenge
ḳhvāboñ kī tafsīl batā kar jā.eñge
jo uTThī hai dhuul biThā kar jā.eñge
aap agar chāheñ to haañ ārām kareñ
ham to bas āvāz lagā kar jā.eñge
kahte haiñ paimān nibhānā mushkil hai
ham apnā paimān nibhā kar jā.eñge
jazbe ne jo rañg nikhāre āñkhoñ meñ
un se ham tasvīr banā kar jā.eñge
aap ne jo dīvār usārī nafrat kī
'anvar' ye dīvār girā kar jā.eñge
KHwabon ki tafsil bata kar jaenge
jo uTThi hai dhul biTha kar jaenge
aap agar chahen to han aaram karen
hum to bas aawaz laga kar jaenge
kahte hain paiman nibhana mushkil hai
hum apna paiman nibha kar jaenge
jazbe ne jo rang nikhaare aankhon mein
un se hum taswir bana kar jaenge
aap ne jo diwar usari nafrat ki
'anwar' ye diwar gira kar jaenge
- Book : Aiwan (Pg. 26)
- Author : Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem
- Publication : Nirali Duniya (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.