KHwabon ko libas de raha hun
ḳhvāboñ ko libās de rahā huuñ
zaḳhmoñ kī kapās de rahā huuñ
sairābī-e-dard-o-ġham kī ḳhātir
ashkoñ kā gilās de rahā huuñ
tum ruuh ko itr-bez kar lo
maiñ ḳhuld kī baas de rahā huuñ
īqāñ kī phaTī lahad meñ jā kar
maiñ ḳhāk-e-qayās de rahā huuñ
hai kizb ke bahr meñ ravānī
ab sidq kī pyaas de rahā huuñ
sarsabz rahegā fan kā maidāñ
tanvīr kī ghaas de rahā huuñ
tum vaqt kā zā.iqa lo 'qudsī'
talḳhī se miThās de rahā huuñ
KHwabon ko libas de raha hun
zaKHmon ki kapas de raha hun
sairabi-e-dard-o-gham ki KHatir
ashkon ka gilas de raha hun
tum ruh ko itr-bez kar lo
main KHuld ki bas de raha hun
iqan ki phaTi lahad mein ja kar
main KHak-e-qayas de raha hun
hai kizb ke bahr mein rawani
ab sidq ki pyas de raha hun
sarsabz rahega fan ka maidan
tanwir ki ghas de raha hun
tum waqt ka zaiqa lo 'qudsi'
talKHi se miThas de raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.