KHwah patthar KHwah shisha aadmi
ḳhvāh patthar ḳhvāh shīsha aadmī
reza reza ho ke bikhrā aadmī
lamha lamha dhuup se tap kar huā
dasht-e-ġhurbat meñ sunahrā aadmī
ik na.ī taḳhlīq kā sūraj liye
fikr ke ziine se utrā aadmī
zindagī ke aa.ine meñ roz-o-shab
dekhtā hai apnā chehrā aadmī
bhar ke āñkhoñ meñ sulagtī aarzū
barf kī vaadī se guzrā aadmī
'umr bhar kartā nahīñ faash apnā raaz
kis qadar hotā hai gahrā aadmī
saa.at aisī bhī kabhī aatī hai 'nāz'
ḳhud bhī ban jaatā hai bahrā aadmī
KHwah patthar KHwah shisha aadmi
reza reza ho ke bikhra aadmi
lamha lamha dhup se tap kar hua
dasht-e-ghurbat mein sunahra aadmi
ek nai taKHliq ka suraj liye
fikr ke zine se utra aadmi
zindagi ke aaine mein roz-o-shab
dekhta hai apna chehra aadmi
bhar ke aankhon mein sulagti aarzu
barf ki wadi se guzra aadmi
'umr bhar karta nahin fash apna raaz
kis qadar hota hai gahra aadmi
saat aisi bhi kabhi aati hai 'naz'
KHud bhi ban jata hai bahra aadmi
- Book : Sahra Mein Ek Boond (Pg. 75)
- Author : Naz Quadri
- Publication : Maktaba Sadaf, Muzaffarpur (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.