KHwahish-e-baal-o-par mein rahta hai
ḳhvāhish-e-bāl-o-par meñ rahtā hai
mutma.in kaun ghar meñ rahtā hai
lamha lamha safar meñ rahtā hai
chāñd kab kis nagar meñ rahtā hai
jān-e-jāñ āj-kal tirā qātil
kūcha-e-chāra-gar meñ rahtā hai
bhuul jā.ūñ use magar kaise
vo jo merī nazar meñ rahtā hai
ham to sahrā-navard haiñ 'manzar'
ḳhauf dīvār-o-dar meñ rahtā hai
KHwahish-e-baal-o-par mein rahta hai
mutmain kaun ghar mein rahta hai
lamha lamha safar mein rahta hai
chand kab kis nagar mein rahta hai
jaan-e-jaan aaj-kal tera qatil
kucha-e-chaara-gar mein rahta hai
bhul jaun use magar kaise
wo jo meri nazar mein rahta hai
hum to sahra-naward hain 'manzar'
KHauf diwar-o-dar mein rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.