KHwahish-e-jaan ko aazmana hai
ḳhvāhish-e-jāñ ko āzmānā hai
ġham pukāre to muskurānā hai
husn phir le rahā hai añgḌā.ī
pyaar ko phir fareb khānā hai
ik tire gesuoñ kī chhāñv meñ
har ujālā sameT laanā hai
un ko bārish kā ḳhauf hai jin ko
apnā ghar aag meñ jalānā hai
vo chamak huuñ ki rā.egāñ ho kar
dar-o-dīvār ko sajānā hai
aate aate qarār aa.egā
rafta rafta tujhe bhulānā hai
KHwahish-e-jaan ko aazmana hai
gham pukare to muskurana hai
husn phir le raha hai angDai
pyar ko phir fareb khana hai
ek tere gesuon ki chhanw mein
har ujala sameT lana hai
un ko barish ka KHauf hai jin ko
apna ghar aag mein jalana hai
wo chamak hun ki raegan ho kar
dar-o-diwar ko sajaana hai
aate aate qarar aaega
rafta rafta tujhe bhulana hai
- Book : Shanasai (Pg. 106)
- Author : Jazib Qureshi
- Publication : Panjab Book House, Urdu Bazar, Karachi (1994)
- Edition : 1994
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.